Yaad Baba Ki Sakina Ko
- Sayed Fazal Abbas (2022)
Yaad baba ki Sakina ko hai tadpati rahi
Baba ke gham mai wooh roo roo ke hai ghash khati rahi.
Hae zindaane sitam me joh mile Tanhaiya
Hichkiya bhand gai roo roo ke Sakina ki waha
Baba ke seene ki masooma ko yaad aati rahi
Kalma goyo hame is baat ka hai ranj o alam
Baloo se pakde yateema ko thi wooh fauj e sitam
Sath kyu ghoodo ke maidan me dauda rahi
Roke shabbir ka sar naize pe wooh dekhi thi
Dard shabbir ki hamsheer ke kya samjhe koi
Kaise Zainab wooh Sakina ko thi behlati rahi
Hae joh karbala se sham talak pyasi rahi
Wooh sakine ke joh taskeen this sheh k dil ki
Khilkate shaam hai sung uspe hi barasti rahi
Dekh ke rota hua isko laeen haste rahe
Aur tamache bhi use shaam talak maare gae
Kya yahi ajre risat tha joh wooh paati rahi
Kaano me ramla ke dur dekhe toh boli ro kar
Mujhse yeh shimar ne cheene the, hai kya tujhko khabar
Lae the baba yeh mere lie farmati rahi
Laash pe bachhi ki roo roo ke yeh abid ne kaha
Abb nahi rone ki zindaan se aaegi sada
Chalbasi kaid me wooh jhidkiya joh khati rahi
Zulm asad aur fazal fauje laeen ne yeh kia
Ek bhi ghoot naa paani ka Sakina ko dia
Sham ki fauj sitam bacchi pe you dhati rahi