Tareekh Zamane Se Yeh Kya Puch Rahi Hai
- Sayed Fazal Abbas (2022)
Tareek Zamane se yeh kya puch rahi hai,
Zehra tere baccho ki khata puch rahi hai.
Kya jurm tha shabbir ka batla ay musalmaan,
Sajjad ki bedi ki sada puch rahi hai.
Besheer ki maa hazrat e Zainab se lipat kar,
Farzand ke bachne ki dua puch rahi hai.
Darya ki taraf dekha toh mehsoos hua,
Har laher hi woh khusq gala puch rahi hai.
Kyu aai nahi laut ke masoom Sakina,
muddat se madine ki fiza puch rahi hai.
Hamshakle payambar ke bhala marne ke din the,
Kudrat se yeh roo roo ke kaza puch rahi hai.
Zainab ke khule sar pe jami gard safar ki,
Looti hui chadar ka pata puch rahi hai.
Farwa ne kaha roo ke kaha kho gae Qasim,
Aa jaa ke tera mujhse hina puch rahi hai.
Taukeer ada kar dia kya farz aza ka
Momin se yehi khake shifa puch rahi hai.