Arbayeen Karne Ko Aayi Hai Behan

- Anjuman e masoomeen (2018)


arbaayen karne ko aayi hai behen
qaid se chut ke pabande mehan

paishwayi ko mere aaye to koi
housla mera badhaye to koi
mujh ko seene se lagaye to koi
kya hua mere gharane ka chalan
arbaayen karne ko aayi hai behen

mera abbase dilawar hai kahan
mera armaan mera akbar hai kahan
jhule wala ali asghar hai kahan
ye batou hai kahan ibne hasan
arbaayen karne ko aayi hai behen

main kabhi kucha-o-bazar me thi
aur kabhi qaide sitamgar me thi
sarbarehna kabhi darbar me thi
gir pada phat ke na kyou chargey kohan
arbaayen karne ko aayi hai behen

bazuoun me mere rassi thi bandhi
pusht kodoun se badan hai zaqmi
har qadam per thi ye kuftad nayi
bazuou per hai mere daage rasan
arbaayen karne ko aayi hai behen

apna mouh ashkon se dhone wali
raat din aap ko rone wali
margayi seene peh sone wali
iska zindaan me banaker madfan
arbaayen karne ko aayi hai behen