Haye Bemaar Chala

- Mir Tajamul Abbas Faiyazi (2022)


Bekafan chord ke maqtal me padar ka lasha
Haye beemaar chala
Shurkh chehre pe udasi ko liye rota hua

Haye beemaar chala

Kis tarah sayyad e abraar ko de gusl o kafan
Yaad aane laga pardes me aabid ko watan
Hoke beyaar o madadgaar gharibul ghuraba

Haye beemaar chala

Jism se loot liya sheh ka sitamgar ne libaas
Laash dhakne ke liye hai nhi chadar koi paas
Aese halaat me bhi karta hua shukr e khuda

Haye beemaar chala

Kaanpte kaanpte aage jo badhata hai qadam
Khaye jata hai isi baat ka sajjad ko gham
Dhoop me sayyad e masloom ka lasha hai pada

Haye beemaar chala

Huqm rone ka inhe baani e shar ne na diya
Do ghadi baap ki mayyat ke thaharne na diya
Taziyane ko liye shimr e sitamgar badha

Haye beemaar chala

Koi bhi sayyad e sajjad ka diljoi nhi
Aurte bacche hain mardo me bacha koi nhi
Laash e sarwar ki nigehbaani kare kon bhala

Haye beemaar chala

Zabt ka waqt hai aansu na bahao beta
Hai yahi huqm e khuda qaid me jao beta
Aayi jab halq e burida se ye sarwar ki sada

Haye beemaar chala

Eyk bete ke liye hai ye musibat ki ghadi
Hathkadi hath me pairo me hai zanjeer padi
Tauk gardan me hai or ghere hain sab ahl e jafa

Haye beemaar chala

Rauza e shah pe Naukar ye parhege Nauha
Apk laal ki ghurbat ko Karen kaise Ada
Aaj tak sayyed e sajjad ki aati h sada
Haye bimar chala