Kaise Sajjad Ne Har Ek Wo Manzar Dekha

- Sayyed Gulzar Husain (2021)


Kaise sajjad ne har ek wo manzar dekha
Apne baba ka hi naize pe kata sar dekha

1) Ashkiya agay khemo ko jalane ke liye
Jalta sajjad ne zehra ka bhara ghar dekha

2)Ake khemo me laino ne riday chhini
Hay sajjad ne zainab ka khula sar dekha

3) Ag daman me lagai Kano se gohar chhine
Hay sajjad ne bachhi ka mukaddar dekha

4) banke qaidi jo chale janibe darbare yazid
Noke naiza pe sare akbaro Asghar dekha

5) raha me ale Nabi guzre Jo bazaro se
Koi yawar nhi har ek sitam gar dekha

6) yad aya is Ali ko wo Ali Asghar bhi
Jalta sajjad ne jo jhulay Asghar dekha

7) hay sajjad isi gham me lahoo rote rahe
Mao behno ka phupi ka jo khula sar dekha

8) kaisa manzar the ye Gulzar o Asad naize par
Sare sawar kabhi Asghar kabhi akbar dekha