Pidar Ki Laash Se Bachchi Ko Sab Hatate Hai
- Sayed Mehdi Naqvi (2022)
pidar ki laash se bachchi ko sab hatate hain
aseer ho ke haram soove shaam jaate hain
jo soya karti thi seene pe apne baba ke
osi ko khaak ke bistar pa ab sulate hain
pidar ki laash pe rone wo haaye dete nahi
haan misle fatema (sa) dukhiya ko ab satate hain
jalaya kurta to chheeni hain baaliyan oski
har ek gaam sakina (sa) pa zulm dhate hain
kabhi hain baandhte bachchi ko pushte naaqa par
kabhi sakina (sa) ko naaqe se wo girate hain
kabhi wo maangti pani hai jo sitamgar se
gira ke khaak pe paani wo muskurate hain
tadap ke dhoondne lagti hai wo sar e ghazi (as)
tanmacha jab bhi sitamgar ose lagate hain
wo tooti pasliyan le kar bhala chale kaise
wo ghash se girti hai to zulm os pa dhate hain
safaid baal sakina (sa) ke aur kamar kham hai
ye dekh naize se sarwar (as) lahu bahate hain
sar e hussain (as) pe mu rakh ke sogayi dukhiya
nahi wo uthti hai aabid (as) bahut jagate hain
tamachon se jo sakina (sa) ka karte hain matam
tamasha osko raza ahle shar batate hain