Jahan Sara Husain Se Hai
- Raees Abbas Rizvi (2012)
Husain Se Hai Jahan Sara Jahan Sara Husain Se Hai,
Ye Hi To Hai Ham Sabhi Ka Naara Jahan Sara Husain Se Hai.
Isi Ne Quran Ko Bachaya Isi Ne Eemaan Ko Bachaya,
Isi Liye To Ye Dil Pukara Jahan Sara Husain Se Hai,
Agar Ye Qurba'n Na Hota Dee'n Par Na Hota Islam Bhi Kahi'n Par,
Kaho Ye Tum Bhi Sabhi Khudara Jahan Sara Husain Se Hai,
Zaban Apni Jo Kat Bhi Jaye Ye Jism Tukdo'n Me Bat Bhi Jaye,
Kahega Phir Bhi Lahoo Hamara Jahan Sara Husain Se Hai,
Ye Masjide'n Ye Namaz Or Deen Baqi Hai Bas Isi Ke Dam Se,
Ye Hi Hai Insaniyat Ka Naara Jahan Sara Husain Se Hai,
Palat Ke Aa Nafs-e-mutmainna Tu Mujhse Razi Main Tujhse Razi,
Khuda Ne Kahkar Kiya Ishaara Jahan Sara Husain Se Hai,
Qalam Ko Na Rokna Kabhi Tum 'Raees' Zikr-e-husainiyat Se,
Likhe Sada Ye Qalam Tumhara Jahan Sara Husain Se Hai.