Patthar Na Maaro
- Irfan Haider (2011)
Ya husain
Bazaar e sham x2
Ek kafila jab pohcha bazaar nazdeek bohot aaya darbar
Ek shaks ne aakar di ye sada aye Shimr{L} mujhe sar de zara
Kimat lele jitni chahe
Jab Shimr{L} ne sar maula ka diya wo zalim logo se ye kehne laga
logo aao logo aao badla lelo
Ha iske padar ne maare hai ajdaad tumhare khybar me
logo aao logo aao badla lelo
Har simt se aaye jab patthar kehti thi ye Zainab{s.a} roro kar hum hi hai Nabi ki aal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
1:Maarte ho sang jisko hai ye sardaare jina
Iska nana hai Mohammad{S.A.W} baap Ali{a.s} Zahra{s.a} hai maa
Zulm aisa na karo (x2) kehti hai Zahra{s.a} ki aal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
2:Bachpane me iski khatir rab ne bheja pairahan
Iska laasha dasht me hai aaj be goro kafan
Qabr me khud Mustafa{S.A.W} (x2) keh rahe hai purmalal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
3:Jiska aaka ho Mohammad{S.A.W} Kaun hai iske siwa
Zulm ki jispar hue had Kaun hai iske siwa
Ghar to sara lut chuka (x2) ab karo itna khayal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
4:Ek musafir bewatan par zulm ki hai inteha
Maalike kausar tha lekin tashnalab maara gaya
Wo bhi to badla hi tha (x2) jo kiya tumne kital
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
5:Ek din me tum ne maare iske sab peer o jawa
Phir ise zibha kiya tha barsare rege tapa
Reham khao zalimo(x2) ab to behre zuljalal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
6:Le chuke khybar ka badla karbala me zalimo
Ab to is pyaase pe logo reham khao chordo
Kar rahi hai ilteja(x2) ek behen ghumse nidhal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
7:Khak aaluda ye cehra aur ye zakhmi jabee
kiskadar mazloom hai ye tumko andaza nahi
iska laasha dasht me(x2) kar chuke ho paayemaal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
8:Har sitam to kar chuke ho bewatan mazloom par
Chord kar reti pe laasha rakh diya naize pe sar
Qabil e taazim hai(x2) Ahmad e mursal ka laal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
9:Baat ye Irfan o Mazhar kaat jaati hai jigar
Bhai ki behurmati par thi behen yu nauhagar
Baddua kardu agar(x2) aaega tum par zawaal
Patthar Na Maaro
Ye Syed Zada hai
Haaye mera mazloom Husain(a.s)