Ya Fatema Zahra Sa
- Syed Taleb Hussain (2021)
Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema Zahra (sa)
Akela Ho gya maula Tera ya Fatema Zahra (sa)
"Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema zahra (sa)
(1) Huye Rukhsar neele kaan zakhmi pasliyan tootin - 2
Sitam Tum par ye kya kya hogya ya fatema Zahra sa
"Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema Zahra (sa)
(2) Ali as kahte the zahra sa ke janaze pr yahi Rokar-2
Badi mushkil me hai Mushkil kusha ya Fatema Zahra (sa)
"Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema zahra sa
(3) Ba waqt e ghusl jab tooti hui wo pasliyan dekhi-2
Ali as jaisa bahadur ro dia ya Fatma Zahra (sa)
"Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema Zahra (sa)
(4) Abhi tak minbar o mehrab rote hain yahi keh kar-2
Tumhe masjid me jhutlaya gaya ya fatema Zahra (sa)
"Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema zahra sa
(5) Bas 18 baras Me hi zaifa ho gai bibi-2
Tumhe ummat ne Yun Pursa diya ya Fatema Zahra (sa)
Ali Dete Hain Ro Ro kar sada ya Fatema Zahra (sa)
(6) Bapa hai "TALIB O ZEESHAN" matam shahzadi (sa) ka-2
Bhot Ghumgeen hain Ahl e Aza ya Fatema Zahra (sa)