Aur phir Shaam aa gaya

- Irfan Haider (2010)


Shaam aagaya Shaam aagaya
Karb o bala se loat ke aaya jo qafla
Qabr e Nabi pe matam e Shabbir jab hua
Zainab ne baal kholay Nabi ke mazaar par
Boli luta ke aayi hoon jangal may saara ghar
Aray Nana May roti rahi
Mera ghar ujrra
Tera deen bacha Nana
Laikin meray Hussain ne waada nibha diya
Hussain ya Hussain ya Hussain

Nana teray sheher se chala Zehra ka laadla
Deen ke kaam aa gaya

Salaar e qafla ban gaya
Beemar natawan
Aur phir Shaam aa gaya

Raahon ke sangrezon ne pursa diya usay
Haey Nana Shaam walon ne baaghi kaha usay
Aey deen ke badshah teray is mazloom laal par
Ye bhi ilzaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Aey Nana baazuon may jab baandhi gayi rasan
May ro parhi to naize se bolay Shah e zaman
Aey behna gham saho har gharhi ummat ke wastay
Sun ke aaram aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Nana bataoon kaise may kiya ho gaye sitam
Kufay ke dar pe jaise hi pohonchay aseer e gham
Abid ke lab hilay dekh kar Muslim ki laash ko
Lab pe Ash-Shaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Wahan ik Yahoodi rehta tha Bahya tha jis ka naam
Wo kalma parrh ke chaadarain le aaya khush kharam
Phir chadarain chini phir wohi behurmati hui
Sabr phir kaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Koofay may ham jo aa gaye beparda noha gar
Kehta tha Koofay walon se ye shimr e bad gohar
Hakim ko do khabar laya hoon naizon pe sab ke sar
Lenay in-aam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Abid ko aa ke Khooli ne gham ki khabar ye di
Hakim ke samnay abhi peshi hay aap ki
Nana ye saneha aap ke sadaat ke liye Ban ke kohraam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Beghairaton ke shahr may sadaat aa gayay
Pohonchay jo dil ko thaam ke haakim ke saamnay
Aey Nana us gharri aik ik bibi ke zehn may Tera zarghaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya
Nana teray sheher se...

Wo batain likh saka hi nahi Mazhar Abidi
Jo keh rahi thi Nana se beti Batool ki
Aey Nana meray dard ka Irfan hay jisay
Aray ansoo na ruk sakain gay kabhi us ki ankh se
Jab Shaam pohoncha qafila
Sadaat may kohraam tha
Haey haey
Pathar bhi lagay
Sau zakhm sahay
Durray lagay
Tanay sahay
Sab hanstay rahay
Ham rotay rahay
Bas haey Hussaina kehtay rahay

Hussain ya Hussain ya Hussain