Qamar Tut Gayi Hai

- Syed Shayan Hussain (2021)


 

<div rgb(0,="" 0,="" 0);="" font-family:="" consolas,="" "courier="" new",="" monospace;="" font-size:="" 14px;="" line-height:="" 19px;="" white-space:="" pre;"="">

 

lashe pe baradar ke ye farmate the maula
abbas tere gham me kamar toot gai hai.
shabbir ko yun chhod ke jao na akela
abbas tere gham me kamar toot gai hai

aye shere jari aye mere lashkar ke alamdar
aankhe to zara khol ke dekho mujhe ik baar
bhai to hua karta hai bhai ka sahara
abbas tere gham me kamar toot gai hai

khaime me sakina hai khadi aas lagaye
hai kaon jo in bachchon ki ab pyas bujhaye
mai kaese bataun unhe mara gaya saqqa
abbas tere gham me kamar toot gai hai

jagenge haram aaj se aor soyega lashkar
saadat ko ab chain kahan hoga mayassar
dil doobta jaata hai yahi sonch ke mera
abbas tere gham me kamar toot gai hai

tum so gaye kya naher pe shano ko kata kar
taane mujhe ab deta hai ye sham ka lashkar
is aalam e ghurbat me nahi koi hamara
abbas tere gham me kamar toot gai hai

dekhegi wo jab khoon me dooba hua parcham
seh paegi kaese meri hamsheer tera gham
dunga mai bhala kis tarah zainab ko dilasa
abbas tere gham me kamar toot gai hai

aye manzar o shayan qayamat ki ghadi thi
laash e ke qareen madar e shabbir khadi thi
sunte hi tadap jati thi bete ka ye nauha
abbas tere gham me kamar toot gai hai