Bhaiya Behen Aa Gayi

- Hasan Abbas (2021)


Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI
Chehlum mana ne tera aye bekafan tishnakaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI...(2)

The laakh qaatil magar us par na aanch aane di
Sajjad ki har qadam main dhaal ban kar rahi
Le kar salaamat mere hamraah chautha imaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Jis waqt main thi chali mere ghareebul vatan
Majboor thi ye bahen na de saki thi kafan
Par aaj tera kafan le kar mere tishnakam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Har aik zawwaar ki khidmat karegi bahen
Ab umr bhar karbala mein hi rahegi bahen
Karde yahan par mere rehne ka kuchh intezam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Turbat se teri juda ho kar na ji paaungi
Yasrab tujhe chhod kar hargiz nahin jaaungi
Karbobala ki zameen hai aakhari ab muqaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Teri shahadat husain pahonchadi ghar ghar talak
Le kar gayi main tera paigham darbaar tak
Jo tha adhoora tera wo kaam kar ke tamaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Aavo satao enhein ailaan hota raha
Ham berida the khade darbaar sajta raha
Tha bekason ke liye ummat ka ye intezaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Bhaiya amaanat teri vaapas mein laa na saki
Sab kuchh bacha laayi par usko bacha na saki
Dafna ke zindaan mein bachi ko shaah e anaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Mushkil hai pehchaan na ab main nahin wo rahi
Etne sitam ho gaye ke main zaif ho gayi
Aawaaz se hi mujhe pehchan lo aye imaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

pahonchi jo karbobala mehmil se wo gir padi
Girte sambhalte 'hasan' ek qabr par wo gayi
Aankhon se aansoo ravan or lab pe tha ye kalaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI

Aye shah e karbobala Le lo hamara salaam
BHAIYA BAHEN AA GAYI...(2)