Sab Karbala Chale Gaye

- Mir Yousuf Mir (2022)


sab karbala chalein gaye mai reh gaya yaha
ya sahib az zama
thamtay nahi hai ashq na rukti hai hichkiya
ya sahib az zama

1. is arbaein py dhoondou ga mola tumhein wahan
paidal najaf sy jayengy jitny bhi karwa
ya sahib az zama

2. ghurbat ky uss maqam py roye gi meri maa
naqay sy bint e fatima zehra sa giri jaha
ya sahib az zama

3. aye kash hum bhi apni jabeein ko waha rkhein
raggrii hai jis jagah ali akbar ny airiya
ya sahib az zama

4. zindaa mai ab bhi qaid hai kab jayegi wo ghar
kab khatm hoga baali sakina ka imtihaa
ya sahib az zama

5. jis ghar ny sb ko chadary banti tamam umr
by parda rann mai hogaye us ghar ki bibiya
ya sahib az zama

6. bagh e fidak ky sath talab karna akay tum
cheehni gaye thi baali sakina sa ki baliya
ya sahib az zama

7. sajjad (poet) ki lahuu bhari ankhon ko dekh kr
ghurbat mai ro ky kehti hai hazrat ki dadi jaa
ya sahib az zama