Alwida Madeena Alwida

- Hasan Abbas (2022)


Alwida Madeena...(2)

(Laut kar na hoga ab hamara aana
Alwida madeena alwida madeena)...(3)

Aaj phirse nahaq ne hai sar uthaya
Deen e haq ka beda mushkiloñ meiñ aaya...(2)
Paar hai lagaana deen ka safeena
Alwida madeena alwida madeena

Hai taweel rasta garmiyoñ ka mausam
Hoga har qadam par ab ghamoñ ka aalam...(2)
Phir bhi aik waada hai mujhe nibhaana
Alwida madeena alwida madeena

Chhod kar chale haiñ ham mazaare zahra
Ho na jaaye soona mustafa ka roza...(2)
Roz meri jaanib se diye jalaana
Alwida madeena alwida madeena

Haq pe hi jiya huñ haq pe hi marunga
Baiyat e yazeedi maiñ nahiñ karunga...(2)
Chaahe laakh kar le zulm ye zamaana
Alwida madeena alwida madeena

Daanv par lagi hai ambiya ki mehnat
Laaelaah ko hai khoon ki zaroorat...(2)
Shamma e hidayat hai mujhe jalaana
Alwida madeena alwida madeena

Intezaar sadiyoñ se wo kar raha hai
Karbala ka sehra de raha sada hai...(2)
Ab wo hi hai manzil ab wo hi thikaana
Alwida madeena alwida madeena

Bhool wo gaye ke kiske haiñ nawaase
Shaam ke qasaae haiñ lahoo ke pyaase...(2)
Ghar bhi hai lutaana sar bhi hai kataana
Alwida madeena alwida madeena

Ye mera qabeela ab wahiñ basega
Karbala ke ban meiñ hashr tak rahega...(2)
Qabr par hamaari tum zaroor aana
Alwida madeena alwida madeena

Yaad ham ko aayengi ye paak galiyañ
Haashami mohalla or saari khushiyañ...(2)
Maiñ nahiñ bhulunga tu bhi na bhulaana
Alwida madeena alwida madeena

Aye 'hasan' chala jab saiyadoñ ka kunba
Ro rahi thi basti ro raha tha rasta...(2)
Ro ke har qadam par sheh ka kehte jaana
Alwida madeena alwida madeena

(Laut kar na hoga ab hamara aana
Alwida madeena alwida madeena)...(3)