Akbar Ke Kaleje Ko Sina Dhoond Rahi Hai
- Sayyed Ali Muntazir (2022)
Akbar k Kaleje Ko Sina Dhoond Rahi Hai
Par shah ki nazar apna jawaa'n dhoond rahi hai
1) Jo chhod k aya tha madine mein baradar
Sughra usi kadmo k nishaan dhoond rahi hai
2) Chillati hai, takrati hai, woh khaime k dar se,
Is tarah tadapti hui maan dhoond rahi hai
3) Ab tak na azaano'n ko mila aisa moazzin
Hum-shakle payambar ko azaan dhoond rahi hai
4) Barchi ki ani le gayi akbar ka kaleja
Laila usey seene mein kahan dhoond rahi hai
5) Jaate hue maqtal mein jo baba ko dikhai
Kulsum wahi sukhi zubaan dhoond rahi hai
6) Woh jinki amaan dhoondte the ahle zamana
Zindaan mein sakina woh amaan dhoond rahi hai
7) Seene pe Mohib zakhm nazar aae sabhi ko
Zainab jo rahi sab se nihaan dhoond rahi hai