Yeh Kaisi Sakina Pe Huie Zoro-jafa Hai

- Irfan Habib (2022)


ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (4)

baad apke baba mujhe (2)
rulwaya gaya hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

kan-on se mere cheen ke dur le gaye zalim (2)
baba teri dukhtar pe (2)
hui kaisi jafa hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

kaan-on se lahu jaari hai chadar bhi nahi hai (2)
rukhsar bhi neele ha-in (2)
to daman bhi jala hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

jo bali sakina(as)ne sajaya tha lab-on par (2)
ek teer se pyas-on ka (2)
wo arman chhida hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

kis se karun faryad ajab hu ka hai aalam (2)
akbar(as) na rahe paas na (2) abbas chacha hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

pani jo mila roee yahi kahke sakina(sa) (2)
pyasa mere baba ka (2)
gala kata gaya hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

jab kuch na mila mujhpe to barsaye ha-in pathther (2)
beti teri hone ki (2)
mili mujhko saza hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

barah ha-in gale ek rasan aake bachalo (2)
rassi ma-in mera baba (2)
gala ghutne laga hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

daudaya gaya ghod-on ke hamrah bhi mujhko (2)
kis jurm ki baba ye (2)
mili aisi saza hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

aankh-on se nazar aata nahi kuch bhi aye baba (2)
ab pyas se ye mera (2)
badan toot raha hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

bandha hai mujhe pusht pa naake ki lae-en ne (2)
zakhmi hai badan mera(2)
lahu bahne laga hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

arman rihaee ka na pura hua uska (2)
zindan ki tariki mi-en (2)
dafnaya gaya hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)

aankh-on se bahe mere shakeel ashk-on ke darya (2)
dil phat gaya irfan ne (2)
jab nauha padha hai
ye kaisi sakina(sa) pe huee joro jafa hai (2)