Mazloom Hussain Ki Hamsheera
- Nadeem Sarwar (2022)
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Ya Hussain, Hussain Ya Hussain
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai
Aashoor Ke Din Jis Bibi Ka
Aabad Chaman Barbad Hua
Sab Bhai Bhatije Maare gaye
Samaan Jala Ghar-baar Luta Kuchh Bhi Na Bacha Lekin Zainab,
Ye Deen Bachane Aayi hai
Har Khutba Iska Majlis Hai
Har Aansu Iska Maatam Hai
Aashoor Basa Hai Aañkhoñ Me
Aur Dil Me Bahattar Ka Gham Hai
Ye Ahle Aza Se Farsh e Aza,
Ghar Ghar Bhijwane Aayi Hai
Ham Par Patthar Barsate Ho
Haste Ho Jashn Manate Ho
Sayyad Ka Khoon Bahate Ho
Aur Baghi-Baghi Kehte Ho
Shabbir To Pak Namazi Hai,
Ye Tum Ko Batane Aayi Hai
Kaunain Ki Malka Ki Beti
Wo Sharm o Haya Ki Shahzadi
Haye! Shaam e Ghareebañ Me Jiski
Chadar Chheeni Thi Wo Bibi
Duniya Ki Maañ o Bahno Ko,
Parda Sikhlane Aayi Hai
Jisne Bhai Ki Gardan Par
Chalte Huye Khanjar Dekha Tha
Na Chhupne Doongi Khoon Tera
Shabbir Se Kiska Wada Tha
Wo Zainab Shaam Me Bhai Ka,
Maatam Karwane Aayi Hai
Sarwar Jab Baad Riha Hokar
Jab Aayi Karbobala Muztar
Haye! Peet Ke Sar Maatam Kar Kar
Chillayi Bhai Ki Turbat Par
Uth Bhai Hussain Tera Chehallum,
Teri Bahan Manane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hai
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hai