Ek Naara Wafadar Abbas Alamdar

- Rizwan Rizvi (2022)


Ek nara wafadar , Abbas Alamdar ...
Sarwar ka madadgar.. lashkar ka hai sardar....

Haider ki tamanna hai zehra ka dilo'n jaan
Duniya me wafadari ka ye bolta quraan
Zalim ke liye hai ye ek ahini deeper.....

Jo mashk-o-alam le ke wo darya pe chala hai
Maujo me talaatoom hai ke tufan macha hai
Ye jaah-o-hasham dekh ke sab ho gaye farraar

Aqa ki ghulami me kiya aise guzara
Bhai ko kabhi bhai nahi keh ke pukara
Dhundoge magar paaoge na aisa Paras tar

Is saare zamane me nahi deta koi sath
Be bazuo'n se thaam lo abbas mera hath
Ab tere he hatho me mere waqt ki rafter

Nara

Mushkil me sahara hai
Abbas hamara hai

Dubo tou kinara hai
abbas hamara hai

Har dil ne pukara hai
Abbas hamara hai

Zehra ka jo pyara hai
Abbas hamara hai

Masaaeb

5). Mai jo na rahu meri niyabat ye karega
Zainab ke bhi parde ki hifazat ye karega
Kehte the musalle par yahi haider e karrar

6). Parde ka muhafiz hai ye ghairat ka khuda hai
naize ki bulandi se ye sar jiska gira hai
Behno ko rida de do ye kehta raha har baar

7). Mashkiza liye ghazi ka paani me uthana
Aur pyaase ka darya se yu pyasa he nikana
Paani me sakina ka oose ho gaya deedar

8) Wo mashk ka chid jana wo paani ka chalkna
baccho ka dar e khaima pe wo rona wo bilakna
Abbas ke dil pe tha yahi sab se bada waar

9) Aye waqt ke abbas karam mujh pe ye kar do
Fehrist e ziyarat me mera naam bhi likh do
Likhta hai areeze me yahi tera azaadar ...

Abbas e alamdar
Abbas e alamdar...

MAQTA

Ek bar meri maa ko bhi karbal me bulana
Rizwan se rauze pe yahi nauha padhna
Naukar hai tere dar ka ye hai tera raza-kar