SAJJAD SAKINA KI MAYYATH KO UTAHTHE HAIN
- ARIF RAZA (2020)
Kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hoga
Aur khoon bhara kurta woh jism se chipka tha
Kya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) ka
Yeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Bahna bahna kah kar, seene se lagate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Nazkeed Sakina (sa) kay Sajjad e (as) hazee’n aaye
Chehre peh nazar padte he lab peh yahi laye
Is aalam e ghurbat main kya kya hain sitam dhaye
Sub bibiyo’n ko Abid (as), nazdeek bulate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Doobi huyi nabze’n hain aur jism bhi thanda hai
Aur maut ka bachchi kay mathe peh paseena hai
Need aayi use kaise takiya na bichona hai
Sajjad e (as) hazee’n lab per, faryad yeh late hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Woh sham e ghareeba’n se soyi thi kaha’n bachchi
Lagta hai yahi hum ko shayad use need aayi
Zinda’n kay andhere se itni thi woh ghabrayi
Aye meri bahen uththo, Sajjad (as) jagate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Uf pyas ki shiddat se yeh haal e Sakina (sa) tha
Lab sookhe huway uske murjhaya hua chehra
Kamsin thi magar us par aalam tha zaeefi ka
Yeh marsiya bachchi ka, Sajjad (as) sunate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hoga
Aur khoon bhara kurta woh jism se chipka tha
Kya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) ka
Yeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Zainab (sa) ne kaha ro kar deedar zara kar lu’n
Kulsoom (sa) bhi aajao aur tum bhi rabab aao
Aur dekh lo jee bhar kay ik baar Sakina (sa) ko
Abid (as) abhi bachchi ko, turbat main chipate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain
Chalke huway hain aansu kohram hai ik barpa
Kano se suna jisne bhi haal Sakina (sa) ka
Bibi kay masyaeb main hai dard bhara itna
Aijaz ka yeh nauha, arif jo sunate hain
Sajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain