Lo agaya bazaar

- Shabbir and Abbas Tejani (2010)


Lo agaya bazaar

 

(Lo agaya bazaar) x10

 

(Bazaare shaam hai, bazaare shaam hai) x2 Bazaare sham hai

 

Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar

 

1.     Meri phuphi amma, roti hai(n) be parda, lakhon ka hai majma, lo agaya bazaar

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

2.     Ye soch ke rota hu(n), maa behne khule sar hai

Kistarha se dekhuga, jo samne manzar hai

Neze pe hai ik sar, rota hai jo aksar, karta hai jo nawha

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

3.     Bazu hai bandhe mere, mei kuch nahi kar sakta

Bochaar hai patthar ki, ham sab hai rassan basta

Hai khun ka darya, jo sar se hai behta, haste hai ye aada

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

4.     Har eik qadam baba, quran sunaata hai

Aur aag ke pathhar khud, chehre pe wo khata hai

Zahra ka dulara, Ahmad ka nawasa, hai barsare neza

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

5.     Parde ka muhaffiz ab, sar apna giraataa hai

Khu(n) rota hai wo ghazi, jab bhi nazar aata hai

Zainab ka khula sar, aur shaam ka manzar, sar pe nahi parda

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

6.     ay habsh ke maki(n) ye, fizza ki sada aayi,

thi aapki shahzadi, aur aaj hun me qaidi

ay mere bahaddur, kar itna tassawur,  hun aapki malka,

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

7.     aur shimr ye abid se, kis fakhr se kehta hai,

Parda teri zainab ka neze se utara hai,

Quwwat hai ye meri, ahmed ki nawasi, ko shaam me layaa

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

8.     wo nanni sakina ko manga hai kanizi me,

me marta hun jiteji maahole sharabi me,

ghabrati hai bachhi,  aur hoke me bhayi,  kuch kar nahi sakta

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

9.     Maut ayegi zindaa(n) mei, pyaari meri behna ki

Hathon se banaunga, me qabr sakina ki

Wo khun bhara kurta, har aik tamacha, ye usko hai sehna , lo agaya bazaar

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

10.                        maula ko madine me, ik shaks ne jab puchha

jo sab se musibat thi, wo konsa manzar tha,

mola kahe rokar, dil soz tha manzar, nazron me jo chhaya

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

 

11.                        Jis bibi ko suraj ne, hargiz nahi dekha tha,

Beparda khari thi wo, shaitano ka majma tha

Chehre ko Tejani, baalo(n) se chupaayi, parhti rahi khutba

 

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2