Khoon rote hai Shabeer O Shabbar
- Asmee Kanodari (2021)
Shor koofa me ye uthh Raha hai,
Haaye haider ko kyu marta hai,
Tujko malum hai ibn muljim,
Kis ko sajde me zakhmi kiya hai..
Is ne Gurba ko khana khilaya,
is ne pyaso ko pani pilaya..
Sab ko jata hai jo chhod kar ke
is jahaN ka jo mushkil kusha hai...
Khoon rote hain shabbeer o shabbar
uthne wali hai haider ki mayyat..
Chal raha hai judai ka khanjar
Uthne wali hai haider ki mayyat
Jo yateemo ke ser pe tha saaya, mar gaya aaj haye woh maula..
Kya musibat hai ahl e jahaN per, uthne wali hai Haider ki mayyat...
KhuN me tar ho gaya hai amama, sar bhi moula ka hai para para..
Ek noha hai sab ke labo par, Uthh ne wali hai haider ki mayyat..
Haaye baba na jao ye keh kar, gir gayi haaye zainab zameeN par...
Bole hasnain Ro lo ay khwahar, uthh ne wali hai haider ki mayyat ...
Haaye zalim ne sajde me mara, khooN se rangeen hai jo musalla..
Mar gaya hai Namazi tadapkar, uthhne wali hai haider ki mayyat..
Pasliya pakde aayi hain Zahra, Roohe sarkaar padhti hai nauha..
Kaisa hai ye qayamat ka manzar, Uthhne wali hai haider ki mayyat..
Bole abbas ummul bani se, Kya hua hai ye baba ko mere..
Dil tadpta hai ye shor sunkar, Uthne wali hai haider ki mayyat..
Boli ummul bani mere beta,Dekh lo apne baba ka chehra..
Ab na aaeyenge baba palatkar, uthne wali hai haider ki mayyat
Jab bhi 21 ramzan aayi, Asmee jafar ne saf hai bichhayi
Hoga Girya o matam bhi Ghar ghar, Uthhne wali hai haider ki mayyat..