Jana hai Madina ... Kehti thi Sakina
- Asmee Kanodari (2017)
Hay e sakina hay e sakina (4)
Sughraa se roke keh'ti thi yeh zaynabe muztar.....
Hai dafn qayde shaam me tanha teri khwahar....
Khwahish thi uski yeh ke watan woh bhi aa sake....
Naana ko saare zakhm woh apne dikha sake......
Sunti thi naam jab bhi watan ka woh laadli....
Nouha labo'n pe jaari yeh karti thi har ghadi....
Jana hai madina........
Kehti thi sakina.......... (2)
1) nanhi si yateema pe wo zulmo sitam huva...
Ghazi ke bad bachhi ne pani nahi piya....
Aankho SE bahte ashko'n ko Piti thi sakina.....
Jana hai madina...
Kehti thi sakina:
2) Chadar bhi chhin chuki thi or ghohar bhi chhin chuke...
Daman me aag lag gayi parwah nathi use...
Baqir ko jalte kahimo se lati thi sakina....
Jana hai madina....
Kehti thi sakina.....
3) Maqtal me jaake baap ko woh dhundh ne lagi...
Sine PE sone wali na jangal me so saki...
Sar rakh'khe haye khakh PE soti thi sakina....
Jana hai madina....
Kehti thi sakina .....
4) Kaano se khoo'n rawa'n hai tamaacho'n ke hai nisha'n...
Laash e jari furaat pe tadpa kiya vaha'n....
Ro ke sada jo ammu ko deti thi sakina...
Jana hai madina....
Kehti thi sakina.....
5) Asghar na aaya laut ke or ghar pe tum chale ....
Dekho agar kahi pe to kehna muje mile....
Udate hue parindo SE kehti thi sakina...
Jana hai madina...
Kehti thi sakina....
6) boli fufi ke paani ko tum baad me piyo....
Pahele yeh aurto'n ke liye tum ye dua karo..
Haatho'n ko apne roke uthati thi sakina....
Jana hai madina...
Kehti thi sakina .....
7) Asghar ne ran me ehle sitam ko rula diya.....
Manzar baya'n yeh Asmee sakeena ne ja kiya ....
Bazaar me yu'n sab ko rulati thi sakina ....
Jana hai madina...
Kehti thi sakina...