Haq Mangne Ko Zehra
- Qaimi Brothers (2021)
Haq mangneko Zehra darbaar me khadi hai
Arshe ula pe rooh e Ahmed bhi ro rahi hai
Laayi hai sath main wo baba ki ek sanad ko
Koi tou Fathima ki haqaniyat ko samjho
Allah janta hai sacchai joh chupi hai
Zehra ko gham nahi hai baagh e fidak ka baba
Gham ye hai jis ka kehna qaliq ne sach kiya tha
Badkar ki zuban se jhutlayi jaa rahi hai
Moula hassan yahan se guzrenge na kabhi bhi
Ruq modhlenge apna yadh ayega joh maazi
Wo jis gaali me Zehra chalte huwe girin hain
Darbaar se nikal kar cha jayegi zaefi
Dar bhi girega usper tutigin phasliyan bhi
Zehra pe ab musibat har lamha badh rahi hai
Zainab tadap ke boli ye sab bhi main sahongi
Ek roz maa ke jaisi halaat meri bhi hogi
Amma ko dekhti hai aur roti jaa rahi hain
Dekhen joh zaqmi pehlu jab Fathima ka haider
Pehlu pakad ke apna royenge itna Sarwar
Phir sabr ye kahega mushkil me ab Ali hai
Qatil se wo hi lega har ek Sitam ka badla
Qaim ke sath aakar ek din rajjul hamara
Ghazi ki muntazir wo turbat me rorahi hai