Musibat uthayegi Fizza

- Qaimi Brothers (2022)



Nabi ke badh musibat uthayegi fizza
Rida luta ke magar deen bachayegi fizza

Giraya jayega jis waqt fathima pe wo darr
Nishan wafa ke dikhenge , jhulaste hathon par
Wo jalte darr ko joh tanha hatayegi fizza

Joh lout aayenge masjid se zaqmi sarr leke
Jigar ko tham ke aur kap kapate hathon se
Ali ke zaqm pe pe marham lagayegi fizza

Hasan ke lashe pe teeron ka sayebaañ hoga
Sharik e hazrath e Zainab ka karne farz ada
Badan se teer wo wo saare , chudayegi fizza

Hussain maare gaye gyarwin ki subha huwi
Tamam rath yehi soch soch kar royi
Kafan kahan se shah e deen ka layegi fizza

Sakina zainab o zehra ke zaqm per aksar
Ye apne ansu se marham laga tou degi magar
Kisi ko dard na apna dikhayegi fizza

Yazeed bolega jis waqt barsaare darbaar
Kamosh karke use jab karegi wo guftaar
Jalal apna wahan per dikhayegi fizza

Dayar e sham me ismat ki malika bankar
Baqaul zainab o kulsum apni maa bankar
Sitam se shimr ke unko bachayegi fizza

Palat ke aayi madine joh badh e karbobala
Ali ke ghar joh gayi tou rajjul kiya nouha
Hussain aao ke paani pilayegi fizza