Kya Yateemon Pe Sitam

- Mir Hasan Murtuza (2022)


Haye Sakeena Haye Yateema

Kya yateemon pe sitam aisa kiya jata hai
Baap par roney pe durre koi barsata hai

1) Ek beti hai jo baba ko bahut pyari thi
Baap ke seene pe aaram se sojati thi
Ab to dil khaak pe sote huwe tharrata hai

2) Ummati kaise hain ye kaise musalmañ ya rab
Kyun samajhte nahin ye aale nabi ka mannsab
Badle purse ke hameñ qaid kiya jata hai

3) Chalte naaqe se giraya gaya baba mujhko
Aap ke baad sataya gaya baba mujhko
Sar ko dikhla ke sitamgar mujhe rulvata hai

4) Aye phuphi amma batao hai ye kaisa zindañ
Raat ko oos to din me hai tapish ka sadma
Kyun yateemon pe taras koi nahin khata hai

5) Aap ki yaad me roti hun main baba jab bhi
Haye zindañ me chala aata hai be deen shaqi
Durre phir Sayyed e Sajjad pe barsata hai

7) Leke sar good me baba ka fughaan karti thi
Is tarha soyi ke phir uth nahin payi bacchi
Shore gham se dar e Zindaan hila jata hai

8) Kaise Sajjad ne Qaisar wo uthaya lasha
Hathkadi bediyaan parhti thin Hasan ye Nauha
Haye kis haal me bhai tujhe dafnata hai