Khuda Nighedaar Ya Ali

- Mir Hasan Mir (2022)


Wa Waila, Wa Waila
Wa Waila, Sayyeda Wa Waila
Mazlooma, Sayyeda Mehrooma ..(2)

Haye..
Haye Tha Chehra Zakhmi, Shikasta Pehlu,
Ajab Qayamat Ki Wo Ghari Thi
Nabi Ki Beti Dam e Wasiyat 
Ali Se Jab Roke, Keh Rahi Thi

Khuda..
Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Aye Mere Maula, Chhod Ke Tanha ..(2)
Jati Hai Ab Dukhtar E Nabi
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda..
Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

1. Gham Tumhara Sayyeda Ke Saath Jaayega
Qabr Me Tumhara Gham Mujhe Rulaega
Pursa Dene Bhi Tumhe Koi Na Aayega

Haaye
Shehr e Madina, Ghut Ke Hai Jeena..
Haye Ali Bekasi Teri..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

2. Ek Wo Din Tha Mai Dulhan Ban Ke Aayi Thi
Aap Ke Ghar Ne Meri Izzat Badhayi Thi
Milke Mere Saath Ye Basti Basayi Thi

Shaam Se Pehle, Aapke Ghar Se, 
Fatima Khuda Ke Ghar Chali..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

3. Dushman e Abu Turab Hai Yaha Tamam
Tum Pe Aach Aayegi Phir Bhi Na Aye Imam
Fatima Nay Kar Diya Hai Aisa Intezaam

Chaand Se Bete, Sadqe Tumhare
Ab Yahi Hai Jholi Me Meri
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

4. Baba Aaye The Abhi Dobara Aayenge
Keh Rahe The Kalmago Na Ab Sataenge
Fatima Tumhe Hum Aaj Leke Jayenge

Wada Kiya Tha, Baba Ne Jiska,
Aagayi Hai Ab Wahi Ghadi..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

5. Pyaas Se Hai Dekhte Mujhe Wo Baar Baar
Kar Liya Hussain or Hasan Ko Maine Pyaar
Maut Kar Rahi Hai Fatima Ka Intezaar

Maa Ko Tadapte, Dekhe Na Bachhe, 
Saanse Chal Rahi Hai Aakhri..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

6. Ummat e Nabi Ne Mera Haal Ye Kiya
Jalta Dar Batool Par Gira Diya Gaya
Taziyana Bhi Laga Hai Haath Bhi Utha

Pehlu Shikasta, Bazu Shikasta
Fatima To Zakhm Ban Gayi ..(2)
Khuda..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

7. Zakhm Dekh Kar Mere Abhi Se Hai Nidhaal
Maa Ke Gham Me Hogaya Hai Unka Ghair Haal
Baad Mere Betiyo'n Ka Rakhna Tum Khayal

Zainab o Kulsoom, Hai Abhi Masoom,
Raah e Shaam Dur Hai Abhi..
Khuda..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

8. Fatima Pe Hogayi Sitam Ki Inteha
Aap Se Chhupayi Hai Maine Har Jafa
Ghurbato Ka Hai Meri Gawaah Mujtaba 

Kaise Bataun, Kaise Suna'un
Fatima Kaha'n Kaha'n Giri
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

9. Haye Dukhtar e Nabi Ko Qabr Me Utaar Kar
Roye Murtuza Ali Takallum Is Qadar
Hogayi Tamaam Qabr Aansuo'n Se Tarr

Uth Ke Qabr Se Jab Ali Chale,
Thi Yahi Sadaa Batool Ki..
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Khuda Nigehdaar Ya Ali 
Khuda Nigehbaan Ya Ali 

Wa Waila, Wa Waila
Wa Waila, Sayyeda Wa Waila