Haaye Mazloom Ali (as)

- Shahid Baltistani (2023)


ya Ali
haae Ali

bain karti hi rahi, qabr se yeh bint-e nabi
haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

mere pehlu ki terhan, aap ka sir hai zakhmi

gunbade Khizra o kaaba mein bapaa hai maatam
tod kar bande kafan mein ne kya hai maatam
jis ghadi aap pay masjid mein hai talwar chali

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

mere baba se kiya wada nibhanay keliye
khud ko tanha kiya islam bachanay ke liye
shidat-e-Adl tairay peeron ki zanjeer bani

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

qatl mohsin ho ya darbaar mein meri paishi
zabt khud par kiya aur mujh ko tasalli bhi di
aap ki terhan jahan mein nahi mazloom koi

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

aaj koofe ki hai shehzadi tumhari beti
kal isi shehar mein aaye gi woh ban kar qaidi
aakhri had mere waali hai yeh gurbat ki teri

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

us ghadi khatm hui theen meri saari khushiyaan
zindah rehne ki mere dil mein thi hasrat hi kahan
mein ne jab aap ki gardan mein rasan dekhi thi

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

haae,
waqt e rukhsat tha qayamat yeh tasalli thi magar
aap ka saya to baqi hai mere bachon par
aap ne kaisay vidaa bachon se mangi hogi

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

bain yeh mohsin o darwaish kiya Zahra ne
kal unheen ke liye aaye thay jinah se kapray
aayi hai eid pay kofe mein jin aankhon mein nami

haae mazloom Ali, mere mazloom Ali

bain karti hi rahi, qabr se yeh bint-e nabi
haae mazloom Ali, mere mazloom Ali