Sughra ne khat likha
- Shabbir and Abbas Tejani (2010)
Sughra ne khat likha
Veeran hai ye ghar
Marjaawungi idhar
Lelo meri khabar
Bhayya ho tum kidhar
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x3
1. Yaad aarahe ho tum, ashko(n) se likhrahi, hu(n) ab ye khat mera
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
2. Wada mujhe karo, Akbar mere akhi
Zair banoge tum, kya qabr par meri
Karti hu(n) me fughaa(n), kuchh to karo bayaa(n), sunlo meri sada
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
3. Ankhei(n) hai(n) dhundhti, rota hai dil mera
Jab sunti hu(n) aza(n), hai qalb kaampta
Ab tumko yaad kar, rowungi umr bhar, kehti hu(n) bakhuda
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
4. Baba se tum kaho, sughra ko hai ye gham
Bimar hai magar, uthte nahi(n) qadam
Bechayn ab ye dil, jo gham se hai bhara, phat jayenga mera
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
5. Tasweer zehn mei, har dam sajaayi hai
Gham is judaayi ka, dil mei samaayi hai
Kya mere pyaar ka, itna hi hai sila, kuchh to kaho zara
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
6. Lelo mera salaam, hafiz hai ab khuda
Karti hu(n) roke ab, khat ko mei alvida
Qasid suno zara, akbar ke haath tak, pohncha do khat mera
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
7. Ashko(n) ko poch kar, akbar ka tha bayaa(n)
Ye marzi rab ki hai, kar sabr meri jaa(n)
Baba ke sabr ke, saye mei ho pali, tum bhi ho fatema
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
8. Khwahar ka ye fughaa(n), akbar ne jab parha,
Tab jhalti reyt par, dam todta raha
Barchi ke dard se, bimar behn ka, ye dard tha bara
(Sughra ne khat likha, dil ki hai iltija, akbar tu lot aa) x2
9. Dekha tejani ye, sughra ne khaab me,
Bhayya ka milchuka laasha turaab me
Aur khat tha khu(n) mei tar, akbar ke laash ke, janib para huwa