Ya Hussain
- Nadeem Sarwar (2012)
Ya Hussain Ya Hussain
Haye Sham E Ghareeban
Haye Sham E Ghareeban
Haye Sham E Ghareeban...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Chha Gayi Sham E Ghareeban E Haram
Ab Na Ghazi Hai Na Ghazi Ka Alam
Ek Beemar Hai Wo Bhi Labe Dam
Saare Alam Mein Barpa Hai Matam
Jal Chuke Khaimey Laeen Lut Chuke Sar Se Rida
Dasht Mein Aati Hai Saadaat Ke, Rone Ki Sada
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Ya Hussain Khushta E Taigh E Jafa
Ya Hussain Sibte Rasool E Khuda
Haye Sar Bar Sar E Neza Tera
Darbadar Le Gayi Fauj E Aada
Beqafan Laasha O Besar Hai Ghareeb E Zahra
Hai Badan Ghoron Se Paamaal, Tera Wa Waila
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Nainawa Dasht E Bala Karbala
Kyun Huyi Jor O Jafa Karbala
Kya Thi Pyaason Ki Khata Karbala
Kuch To Keh Kuch To Bata Karbala
Apne Mehmaan Pe Ye Bandish E Pani Kyun Kar
Jis Ki Maadar Ko Mehr Mein Mila, Hauz E Kausar
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Ek Maqtal Mein Bahatar Laashey
Bhaanje Bete Bhatije Pyaasey
Paara Paara Huye Saare Aise
Ek Qura'an Ke Paare Jaise
Khaaq Urr Urr Ke Shaheedon Ka Qafan Banti Thi
Khuld Se Fatima Zehra Ki Sada Aati Thi
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Ek Taraf Behta Tha Darya E Furaat
Ek Taraf Pyaason Pe Mushkil Thi Hayaat
Baad E Shabbir Aseeron Ki Ye Raat
Kaise Guzri Tan E Sadbash Ke Saath
Koi Bhai Ko Koi Roti Thi Beton Ke Liye
Beqasi Wo Thi Ke Aansoo Na The, Aankhon Ke Liye
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Fatima Zehra Ye Deti Hain Dua
Ta Qayamat Rahe Ye Farsh E Aza
Yunhi Aati Rahe Matam Ki Sada..
(Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain)
Yunhi Aati Rahe Matam Ki Sada
Ho Har Ik Lab Pe Hussaini Nauha
Hashr Mein Sheh Ke Azadaron Se Pursa Loon Gi
Main Azadaron Ko Jannat Ki, Basharat Doon Gi
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Alvida Laash E Ghareeb E Ghurba
Alvida Laash E Jameel E Shuhada
Alvida Beqafan O Bewatana
Alvida Aal E Ghareeb E Zehra
Zindagi Hai To Ye Seene Hain Ye Aansoo Hazir
Warna Maula Hai Hamara Ye, Salaam E Aakhir
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Haaye...
Karte Hain Sarwar O Rehan Dua
Hum Se Raazi Ho Janab E Zahra
Dil Ki Dhadkan Mein Hai Matam Ki Sada..
(Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain, Hussain Ya Hussain)
Dil Ki Dhadkan Mein Hai Matam Ki Sada
Saare Alam Mein Bichhe Farsh E Aza
Nasl Dar Nasl Ye Matam Ye Azadar Rahein
Panjtan Pak Sada In Ke, Madadgaar Rahein
Ya Hussain...
Ya Hussain...
Ya Hussain...