Baba mai jaan gayi
- Sayed Mujtaba Rizvi (2022)
Zakhmi kaano'n pe rakhe haath sakeena ne kaha
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Ab to is dard se behtar mujhe lagti hai qaza
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Jab se maqtal ko gaye aap ajab hai haalat
Mere chehre pe barasne lagi tab se ghurbat
Dam sakeena ka usi dam se hai hotho'n pe ruka
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Us taraf apka sar shimr ne kata baba
Aur idhar kat gaya seene me kaleja mera
Ek ajab dard mere dil me usi waqt utha
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Jisne kata tha gala aap ka us zalim ne
Mere rukhsaro'n pe ji bhar ke tamache mare
Kuchh na karpayi mai bas sar ko jhukane ke siwa
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Mai na bhoolungi kabhi dard bhara ye manzar
Jis taraf jaati hoo'n lagte hai'n tamache rukh par
Chheenta hai koi bunde to koi meri rida
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Aap ke jism pe ab sar bhi nahi baba jaan
Kaise dekhenge mere khoon me tar dono'n kaan
Milgayi baap se beti ko bichharne ki saza
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Ab ye dastoor sakeena ki samajh me aya
Baqi rehta nahi jab sar pe padar ka saya
Sehna parti hai yateemo'n ko zamane ki jafa
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Aag khaimo'n me lagi jab to parisha'n thi mai
Dekh kar zulm ke toofaan ko haira'n thi mai
Jab usi waqt tamacha mere chehre pe para
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Ab to har zulm pe khamosh mujhe rehna hai
Mai yateema hoo'n yahi soch ke sab sehna hai
Raat din mangungi bas aap se milne ki dua
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai
Baap ke talwo'n pe rukhsaar rakhe dukhiyari
So gayi rote hue hay ghamo'n ki mari
Goonjti rehgayi wayz ye yateema ki sada
Baba mai jaan gayi daghe yateemi kya hai