Ali Toot Gaya Hai

- Ali akbar ameen (2018)


Nauha ( Ali toot gaya hai..)
By: Ali Akbar Ameen..(2018)

Haye mazlooma...2x
Haye mehrooma..2x

Ghum teri judayi ka mujhe aisa mila hai, (zahra tere jane se ali toot gaya hai)..2x

1. (Is tarha kati umr tumhari mere ghar me)..2x
Chakki kabhi pisi to kabhi faka kiya hai..
Zahra tere jane...

2. (Aaram kabhi tumne mere ghar nahi paya)..2x
Sharminda Ali tumse nabi-zaadi hua hai..
Zahra tere jane...

3. (Kar kar tujhe yaad bohat roya tadap kar)..2x
Jab bhi tere Shabbir ne haa pani piya hai..
Zahra tere jane...

4. (Baki nahi pasli jo shikasta na hui ho)..2x
Pehlu pe kuch is tarha se darvaza gira hai..
Zahra tere jane...

5. (Is baat ko hargiz na kabhi bhul saku ga)..2x
Ban kar ke Ali qaidi Madine me phira hai..
Zahra tere jane...

6. (Maaloom yeh hota hai bohot dard tha tab hi)..2x
Pehlu se tera haath abhi tak na utha hai..
Zahra tere jane...

7. (Aye binte Payambar tujhe Hasnain ki madar)..2x
Kis tarha kiya dafn mere dil ko pata hai..
Zahra tere jane...

8. (Dar tujhpe giraya tera pehlu kiya zakhmi)..2x
Yeh meri adalat ka diya tujhko silaa hai..
Zahra tere jane...

9. (Har baar ibaadat me tumhe roya hoo zahra)..2x
Jab bhi teri tasbeeh ko musalle pe pardha hay..
Zahra tere jane...

10. (Nauha yahi padhte hay najaf dekh ke haider)..2x
Zahra teri turbat par naa saayaa na diyaa hay..
Zahra tere jane...

11. (Zainab se chupaya gam e darbaar ko lekar)..2x
Baalo ki safedi ka sabab mujhko pataa hay..
Zahra tere jane...

12. (Mohsin ki shahaadat ko bhalaa bhuloo may kayse)..2x
Ye wo tha diya jalne se pehle jo bujhaa hay..
Zahra tere jane...

13. (Aankho'n se rava ashk the danish mere us waqt)..2x
Jiz waqt ke kirtaas pe yeh jumla likha hai..
Zahra tere jane...