Kar Rahi Thi Wasiyat Ye Tashna Dahaa'n
- Syed Mohd Taqi (2011)
Kar Rahi Thi Wasiyat Ye Tashna Daha'n Nam Zameen Me Bana Na Lehed Bhaijaan............... ( 3)
Pyas Se Jal Rahi Hai Meri Haddiya
...... Namzami Me Bana Na Lehed Bhaijaan......... .
1) Haai Kaisa Sitam Mujh Pe Dhaya Gaya
Mujh Ko Durray Laga Kar Dara Gaya
Samne Mere Paani Bahaya Gaya
Ek Katra Na Mujhko Pilaya Gaya
Meri Saaso Se Uthta Hai Gham Ka Dhua
.......Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan
2) Gham Uthane Ki Ab Mujhme Taaqat Nahi Meri Taqdeer Me Koyi Rahat Nahi Haaye Pani Mile Aisi Kismat Nahi Mujhko Ammu Se Koyi Shikayat Nahi Vo bhi Tashna Daha'n Main Bhi Tashna Daha'n
.........Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan
(3) Ghamzada Be Sahara Hun Naadan Hu Mai Yaha Ke Riwajo Se Anjaan Hu Har Ghadi Ke Sitam Se Pareshan Hu Kamsini Me Musibat Se Hairaan Hun Jaane Kab Khatm Hoga Mera Imteha'n ...
...... Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan .....
4) Dha Rahe Hai Sitamgar Sitam Par Sitam Hai Nai Ek Musibat Kadam Dar Kadam
Mujhme Taaqat Nahi Ab Khuda Ki Kasam
Kya Khabar Hai Nikal Jaye Kab Mera Dam
Mujh Ko Laya Hai Mera Muqaddar Kaha'n ...... ..
....Namzami Mai Bana na Lehed Bhaijaan ......
(5) Bekasi Mera Har Dard Sehti Rahi Har imarat Umeedo Ki Dehti Rahi
Har Aziyyat Mai Chup Chap Sehti Rahi
Mai Tadapti Rahi Neher Behti Rahi
Yaad Rakhna Mere Dard Ki Daasta'n
....Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan ..........
(6) Haaye Lachaar Ehley Haram Hogaye Meri Qismat Mein Duniya Ke Gham Hogaye Ran Mai Ammu Ke Shaane Kalam Hogaye Kya Kahu Mujhpe Kya Kya Sitam Hogaye
Mere Kaano Se Cheeni Gayi Baaliya'n
....Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan .......
(7) Meri Rudad Sunlo Zabani Meri
Khush Mashkeeza Hai Bas Nishani Meri
Aansowo'n Se Bhari Hai Kahani Meri
Jaan Le Le gi Tashnadani Mein
Lab Hai Chat Ke Hue Aur Hai Sukhi Zabaa'n
....Namzami Me Bana Na Lehed Bhaijaan... ..........
(8) Kya Kahun Mushkile Kufa-o- Sham Ki Har Aziyyat Hai Shayad Mere Naam Ki Ek Tasvir Jo Alaam Ki Koi Surat Nahin Mere Aaram Ki Hai Meri Pusht Per Seliyo'n Ke Nishaa'n
...Namzami Mai Banana Lehed Bhaijaan .........
(9) Roko Fakhri Taqi Ye Bayaa'n Aur Qalam
Sheedat-e-gham Se Ghut Ta Hai Seene Mai Dam
Dil Mein Taqat Nahi Ab Khuda Ki Qasam
Ho Bayaa'n Kese Baali Sakina Ka Gham
Bas Tasawwur Se Hote Hai Aansoo'n Rawaa'n ..........
........Namzami Mai Bana Na Lehed Bhaijaan ..............................