MEIN JA RAHI HU FIZZA

- Haider Ali Hasnain Rizvi (2022)


Mein Ja Rahi Hu Fizza

Kehti Thi Roo Ke Zahra, Mein Ja Rahi Hu Fizza
Hai Dam Labo'n Pe Mera, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Rakhna Khayal Ghar Ka Har Ik Mushkilo'n Mein
Dehshat C Reh Gai Hai Hasnain Ke Dilo'n Mein
Dena Unhe Sahara, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Baba Ke Baad Mera Wo Haal Kar Diya Hai
Lagta Hai Jaise Mujhko Pa-maal Kar Diya Hai
Dar Se Mujhe Dabaya, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Rooy Agar Jo Zainab Dena Use Dilasa
Shab Mein Husain Mera Ho Jaye Gar Jo Pyasa
Pani Use Pilana, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Aata Hai Yaad Mujhko Manzar Wo Karbala Ka
Dar Jis Tarha Jala Hai Khaima Bhi Yun Jalega
Sab Honge Be-Sahara, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Pehlu Hai Mera Zakhmi Haider Ko Na Batana
Hasnain Ghar Jo Aaye Khana Unhe Khilana
Mujhse Kro Ye Wada, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Mohsin Ko Mere Mara Be-Jurmo Be-Khata Tha
Ummat Ko Baba Jaa'n Ki Har Baat Ka Pta Tha
Phir Bhi Taras Na Khaya, Mein Ja Rahi Hu Fizza

Roote Hain Arsh Wale Sun Kar Shabi Ye Noha
Ahmad Bhi Kar Rahe Hain Haider Lehed Mein Girya
Sun Kar Phate Kaleja, Mein Ja Rahi Hu Fizza