Aag Aur Dar

- Imran Datoo (2023)


Chal Base Haaye Dunia Se Jab Mustafa
Teen Din Baad ye kia Sitam Hogaya
Aisa Badla Madina Kay Wa Ghurbataa
Wo Sitamgar Wo Aag Aur Dar e Fatima
Bola Darwaza Ye Aag ko Dekh kar
Hoon Dar e Fatima Kia Nahi Hai Khabar

Aag Aur Dar ki Baaten Suno

Main wo dar jiski Ahmed Ne Tazeem ki
Sar jukate hain Is Dar pe Jibraeel bhi
koi Khali Yahan Se Gaya Naa Kabhi
tu Jalane mujhe q Yahan Agai
Fatima Mere Peeche Hain Jaa Laut Jaa
Aag Tujhko Muhammad Ka Hai Wastaa

Phir Dar e Fatima Se Kaha Aag Ne
Kitni majbur Hoon kia Bataun Tujhe
Fatima Kon Hain Sab Khabar Hai Mujhe
Khud Parishan Hoon Main ye Dar Dekh kay
Kitni Bebas Hoon Bechain Hoti Hoon Main
Haaye Bibi s.a ki Ghurbat pe Roti Hoon Main

Phir ye Dar ne Kaha Aag Mat pass aa
Mujhko Thame khari Hain abhi Fatima
Teri Shiddat Se Isdam Agar main jala
Dast e Zehra Mere Sath Jal Jaiga
Dar Gira to Qayamat yahan Ayegi
Meekh Pehlu Mein Pewast Hojaigi

Aag Phir Dar Se Karne Lagi ye bayan
Leke aaii Hai Ummat Yahan Lakriyan
Ikhtiyarat De de Agar LaMakan
Zalimon Ka Mita dun main Naam o Nishaan
Kar Khuda Kay Sitam ye kabhi bhi na ho
Fatima Meri Shiddat Se Zakhmi Na Ho

Phir ye Hasrat Se Dar Ne Kaha Aag Se
Sath Bibi Kay Masoom bhi Hain khare
Zalimon ki Sadaon Se Sehme Hue
Rorahe Hain wo Maa ki Taraf Dekh Kay
puchte Hain Kay ye shor Kaisa hai Maa
Kon Darwaze pe Aag Laaya Hai Maa

Aag Ne Phir Kaha Aag e Barhte Hue
kaise Khud ko bujhaon Batade mujhe
Ghair Munkin hai Kay Zulm ab Ruk sake
ab jalainge ye Ummati Khud Tujhe
Aye Dar e Fatima Alwida Alwida
Waqt e Rukhsat hua Alwida Alwida

Haaye Zeeshan o Imran Dar Jal Gaya
Jal gaye Hath Zehra Kay Wa Ghurbataa
Aur Pehlu Pe jis Waqt wo Dar Gira
Pasliyan Tootee'n Moshin bhi mara gaya
Zulm Ahmed s.a.w.w ki Beti pe Hota Raha
Aag Roti Rahi Dar bhi Rota Raha