Milta Hai Sukon Usko Jo Kahta Hai Sakina

- Ali akbar ameen (2020)


Kya isme girami ka Karishma hai sakina
Milta hai sukuN usko jo kehta hai sakina

Shabbir tujhe apna sukuN kehte hai bibi
Ye subse bada tera qasida hai sakina

Vo Jiske pasine say Nabi Khalk hue hai
Usse toe tera khoon ka rishta hai sakina

Be mashk Alam saj ke bhi accha nhi lagta
Abbas say kaisa tera rishta hai sakina

Jo hath teri Madha ki tarif may utthe
Vo shimr ki Surat pay tamacha hai sakina

Zindan ko bhi Qaid say Azad Kia hai
Isbaat ka Shahid tera Roza hai sakina

Asgar ki Behen Apke Bhai ka ye Jhula
Hum subki Muradon ka Khazana hai sakina

Abbas ki dargah say Kya kuch na milega
Fidvi ki Duaon ka wasila Hai sakina