Lori suna rahi hun
- Shabbir and Abbas Tejani (2010)
Lori suna rahi hun
(Soja meri sakina) x3
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
1. Baba ke sine se tum jabse juda huwi ho
Ik raat neend ayi, beta nahi hai tumko
Ab me sula rahi hun ajaa meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
2. Mujhko yahi khabar hai dukh dard ki ho maari
Tumko hai sabr karna ye bhi khuda ki marzi
Tu misle fatema ab banna meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
3. Ayega ab na koi bhi leke taziyane
Marega na shimar ab rukhsar par tamache
Har aik saans pe na ghabra meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
4. Kuchh din me to rihayi miljayegi sakina
Zindane gham se chhutke jayege hum madina
Madar ye kar rahi hai wada meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
5. Dekho ab aagaya hai baba ka sar ay beti
Unko dikhana saare chehre ke zakhm bibi
Jee khol ke tu ab to rona meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
6. Jab neend agayi thi, phir khaab aayi haaye
Jis mei hussain apni beti se keh rahe the
Ab waqt agaya hai aja meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
7. Jab qaid me sakina ko maut agayi thi
Bazu hila hila ke madar ye roke boli
Mujhse khata huwi kya batla meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
8. Abid larazte hathon se ik lahad banaye
ye kehke apni behna ko phir wahi litaaye
Kaise sahunga me gham tera meri sakina
(Lori suna rahi hun, soja meri sakina) x2
9. Paye the jab rihayi, ehle haram tejani
Banu sisak sisak ke girkar yahi pukari
Kaise watan ko jaun tanha meri sakina