Tera Jhula Asghar
- Mir Meesam Abbas (2022)
Tera jhoola asghar roz mein jhulaungi
Tum jo maqtal sei na ayai toh mei marjaungi
Pani kuze mei liye janib e maqtal aayi
Mei sada deti rahi aap ne aaye bhai
Kis tarha tujhe sei bichad kar ji mei paungi
Khak par neendh nahi Aati hai mujhko asghar
Jal gaye khaime sabhi hogaye hai hum be ghar
Gar mile baap ka seena toh mei sojaungi
Aag khaimon mei lagi jal gaya jhola tera
Sath jhule ke tere Jal gaya Daman mera
Aag Daman ki bhala kaise mei bujaungi
Janib e shaam hame leke chale Jab aada
Sath rehne ke mere tumne kiya tha wada
Chodke tanha tujhe jau mein marjaungi
Milne baba sei tadapti hun yaha shaam o seher
Kehdo bhulwaye mujhe jald waha mere pidar
Zulm jithne bhi huwe mujhe pei mei batlaungi
Sun te quddam sakina ki sadayein meesam.
Sham mei sham e ghareeban ka tha parpa matam.
Aj baba na miley mujh se mai marjaungi