KHOON E HUSSAIN
- Farhan Rizvi (2022)
Haye Hussain (4)...
Khoon e hussain Tapka zameen per jagah jagah
Tha khaufnak momino manzar jagah jagah
1. Bete Ne jab Pukar ke Baba Salam lo
Shabbir Pahunche thokre khakar Jagah Jagah.
2. Bete Ki Lash dekh ke Shabir Ne kaha
Sine per jakhm kha Gaya Akbar jagah jagah
3. Pakdi kamar Yun nahar ki jaanib chale Husain
Shane uthate jaate the jhukkar Jagah Jagah
4. Bhai Ko dekha khoonme ghalta to ro pade
Cut cut gai thi lashe brathar jagah jagah
5. Karbobala me kufe me Bazaare Shaam mein
Zahra ki betiyan thi khule sar jagah jagah
6. Aehle haram pe Pani Ki bandish ke vaste
Pehra bitha diya tha sitamagar jagah jagah
7. Daman mein Sar tha baap ka beti ke bain se
Baba sataya shimra Ne Aakar jagah jagah
8. Alhe jafa ke samne sarwar ke samne
Karvat badal ke rehgaya asgar jagah jagah