Baksh Dije Ya Imam E Zaman

- Imran Datoo (2023)


Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n
At gaey hain Gunahun se ye Qalb o Jaa'n
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Bhool baithay hain hum Ap hain Ba khabar
Ghaib se ap rakhtay hain hum par Nazar
Ap Zahir nahi, Hain magar Darmia'n
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Khuahishat e zamana se hum choor hain
Arzuon me Jakray hain mehsoor hain
Dunia dari humen le ke Aai kahan
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Rukh pe Ronaq nahi Ankhen be noor hain
Ap kay Ishq se Dil Bohat Door hain
Mola sun lijiye Dil ki ye Siskian
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Zulm karta hai Batil to sehtay hain hum
Haq ho kehna to khamosh Rehtay hain hum
De Nahi Patey Hum Misl e Meesam Baya'n
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Sheeya honay ka ab paas hum ko nahi
Khokhla hogaya hai hamara yaqee'n
Horahi hain tabhi ap se doorian
Bakhsh Dije Humen Ya Imam e Zama'n

Hai Hasan Or Imran ki Ilteja
Yunhi kartay huey madh e aal e abaa
Mola hojaen hum Shamil e Karwan
Bakhsh Dije humen Ya Imam e Zams'n