Yaad Ayegi Hame
- Haider ali shirazi jaunpuri (2023)
Le chale Hasnain jab ghar se janaza Baap ka
Dekh kar is haal ko saidaniyan rone lagi'n
Alwida kehne se pehle apne baba jaan ko
Ye sada dete hue do betiya'n rone lagi'n
Zindagi ab khoon ke aansu rulayegi hame
Aapki baba bahot hi yaad aegi hame
1)
Gham yateemi ka kisi se bhi kaha jata nahi
Betiyon se baap ka sadma Saha jata nahi
Jab yateemi har taraf se aazmaegi hame
2)
Aur bhi ye soch kar badhne lagi hai bekali
Kuch hin din ke baad Eid ul fitr hai baba Ali
Chand jab is Eid ka qudrat dikhaegi hame
3)
Ek Sahara aur ek taqat hai beti ke liye
Baap ka rehna badi rehmat hai beti ke liye
Zindagi ehsaas ye har dam dilaegi hame
4)
Har qadam par gham sahengi aapki ye betiyan
Qaidkhano me rahengi aapki ye betiyan
Apne ghar me bhi ama'n jab mil na paegi hame
5)
Yaad me Amma ki dil pe zakhm khaye hain bahot
Aapne tanhaai me aansu bahaye hain bahot
Ye kahani jab kabhi fizza sunaegi hame
6)
Aap the koofe ke haakim aur hum shehzadiyan
Baand kar Shane hamare koofiyon ke darmiyan
Fauj ahle zulm ki jab leke jaegi hame
7)
Isliye har baap ki hi laadli hai betiyan
Baap ko beto se zyada chahti hai betiyan
Jab tumhare baad ye duniya sataegi hame
8)
Haidaro Yaqoob ek barpa Qayamat ho gayi
Zainabo kulsoom ne jis waqt ye awaaz Dee
Raat jab shame ghariban ki daraegi hame