Kaise Maloom Ho Laashe Pe Hai Dono Madar
- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2014)
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono madar,
Kun Akbar ko bahut chahti hai..
Dono ek sath me laashe pe giri ghash kha kar,
Kun Akbar ko bahut chahti hai.
Ek sine se hai liptaye jawa ka laasha,
Ek ne roote hu chehre par chehra rakkha,
Dono kehti hai zara boldo mere dilbar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Ek ki batan se duniya ko mila akbar,
Ek ki good me bachpan se pala hai akbar,
Haaye is laash pe thairi rahi dono ki nazar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Zanuye Hazrate zainab pe hai akbar ka sar,
Jab ki hai uljhi hui zulfoo par laila ki nazar,
Dono behosh hui kehke aye akbar akbar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Hosh jab zainab ko jab aata hai to ye rooti hain,
Aankh laila ki jo khulti hain jigar khoti hain,
Dono kehti hain barabar se aye mere lakht-e-jigar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Muntazir fatima sugra hai madine me teri,
Teri furqat me kahi hogi wo behosh padi,
Dekhne paai na sehra teri khawahar sar par,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Kaise hum ja ke kahege ki aakhi mara gaya,
Kaise batlaeyege ki sine me chubha tha naiza,
Haye kis tarah sunegi teri marne ki khabar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Umr bhar na auno mohammad ko na roeei zainab,
Teri furqat me na tere baad soeei zainab,
Neend laila ko bhi aayi nhi aaye kyu kar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Aaj kis kis ko sambhale bhala amma fizza,
Kabhi zainab hai tadapti kabhi umme laila,
Ye sama dekhlo aye fatima zehra aakar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Khoon hatho ki hatheli pe tha is tarah laga,
Ek ek hath ko pakde hue maaoo ne kaha,
Haye armaano ki ab mendhi lage kise ja kar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Ya ali keh ke jo shabbir ne khaichi hai aani,
Naujawa marne laga arshebala kaap uthi,
Ek sawal utha jo sarwar chale laasha le kar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Khoon me apne hi sar taba qadam doob gaye,
Shah maieeyat ali akbar ki liye kaise chale,
Ja baja kehte hai ye laashe jawa rakh rakh kar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Kisne kar dala hai akbar ka kaleja chalani,
Ek naize se hue teen kaleje zakhmi,
Haaye dono pe hua is tarah sadme ka aasar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2
Ugaliya hilne lagi hath ko raasha aaya,
Kaise batlaye koi kaise mubarak ne likha,
Dono rooti hain nawaz ab bhi lahed ke andar,
Kun Akabar ko bahut chahti hai.
Kaise Maloom ho laashe pe hai dono maadar. 2