Do Baar Nabi Ka Qatal Hua

- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2016)


Nauha

Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.
Do Baar Jalaya Ghar Unka,
Ek Basti Me Ek Jungal Me,
Ek Jungal Me Ek Basti Me.
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(1)

Darwaza Jalaya Zehra Ka,
Mehroom Hue Haq Se Haider,
Padhti Hui Nauha Duniya Se,
Rukhsat Hui Binte Paighambar,
Masjid Me Gye Maare Haider,
Maqtal Me Kata Shabbier Ka Sir -2
Phooke Gye Khaime Sarvar Ke,
Chini Gai Zainab Ki Chadar- 2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(2)

Shabbar Ke Kafan Me Teer Lage,
Sarvar Ka Badan Teero Par Raha,
Ghar Aaya Janaza Ek Wapas,
Ek Ghode Se Pamaal Hua,
Ek Hashr Madeene Me Dekha,
Aashoor Ka Tha Ek Hashr Bapa-2
Ek Zehar Dhaga Se Mara Gya,
Or Ek Kata Khanjar Se Gala – 2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(3)

Maila Na Hua Baba Ka Kafan,
Sab Loot Liya Zehra Ka Chaman,
Do Pasliya Zehra Ki Tooti,
Zainab Ke Bandhi Shaano Me Rasan,
Duniya Se Gai Ek Rooti Hui,
Aur Ek Hui Aawara Watan -2
Baba Ko Pachttar (75) Din Rooi,
Ro Pai-Na Ek Bhai Ko Bahen -2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(4)

Darbar E Yazidi Me Zainab,
Darbar E Khilafat Me Zehra,
Ek Bibi Ke Sir Pe Hai Chadar,
Ek Bibi Khule Sir Wa Waila,
Ek Subuttaliya Padhti Thi,
Ek Kehti Rahi Haye Bhaiya-2
Mohsin Ka Hua Tha Qatal Waha,
Sarvar Ko Yaha Pyasa Mara -2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(5)

Ek Bhai Nabi Ka Tha Jaafar,
Jo Bazu Kata Ke Qatal Hua,
Ek Hamza Chcha The Ahmad Ke,
Hinda Ne Jigar Jinka Chaba,
Abbas Sakina Ka Tha Chacha,
Do Hath Kate Mashqiza Chida -2
Laasha Bhi Na Aaya Dariya Se,
Hotho Pe Sarvar Ke Nauha-2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(6)

Kis Tarah Jawa Ke Seene Se,
Toote Hue Naize Ko Khicha,
Khaime Me Sakina Roti Hai,
Roti Hai Madine Me Sughra,
Kis-Kis Ko Tasalli De Maula,
Dil Phool Aaya Aansu Na Baha -2
Hamza Ko Paiyambar Ro To Liye,
Shabbier Ke Dil Se Pucho Zara-2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(7)

Kaabe Ka Gilaf Ek Baar Jala,
Ek Baar Chini Zainab Ki Rida,
Ek Baar Fidak Ko Loota Gya,
Ek Baar Qayam E Shah Hai Loota,
Ek Bar Ali Ko Qaid Kiya,
Abid Ke Gale Me Tauq Pada-2
Wo Shaher E Madina Tha Haye,
Wo Kehte Hai Ise Karbobala-2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(8)

Sir Nangge Nawasi Ahmad Ki,
Bazaar Kabhi Darbar Kabhi,
Shabbir Ka Sir Teero Pe Kabhi,
Garden Me Churi Ki Dhaar Kabhi,
Abid Ko Kabhi Durre Maare,
Talwe Me Chubhaye Khar Kabhi-2
Be Goro Siro Ko Kata Kabhi,
Daudhye Gye Rehwar Kabhi-2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua,
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me,
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.

(9)

Kya Zulm Kiye Ummat Ne Raza,
Aulaade Paiyamber Ke Upar,
Lasho Ke Kiye Tukdhe Tukdhe,
Naize Pe Rakha Shabbir Ka Sir,
Jab Khawab Kisi Ne Bhi Dekha,
Sir Nangge Nabi Aaye Hai Nazar-2
Padhte Hai Yhi Bas Ek Nauha,
Aankho Se Rawa Hai Khoon E Jigar-2
Do Baar Nabi Ka Qatal Hua.
Ek Masjid Me Ek Maqtal Me.
Ek Maqtal Me Ek Masjid Me.