Ali Jo Aaye Toh Kaaba Tawaf Karne Laga

- Aqeel Abbas Hussain (2022)


Ali jo aaye toh kaaba tawaaf karne laga
Makaan apne makeen ka tawaaf karne laga

Ali ke ishq mai slman ke aqeede ko , malaika ka aqeeda tawaf karne laga

Likha jo naam e ali maine apni masjid par
Falak se akey sitara tawaf karne laga

Hussain apke sajde ko barsar e mehshar
Tamam nabiyon ka sajda tawaf karne laga

Zabaañ pa meri junhi ya Ali asws madad aaya
Farishta qabr mein mera tawaf karney laga

Alam uthaya jo ghazi ne rozw ashura
Toh uska khud yad e baiza tawaf karne laga

Jo taziye ke hain munkir unhiki mayyat ko
Yazeediat ka janaza tawaaf karne laga

Sajai mashk alam par yun laga jaise
Hawa ke sath pharera tawaf karne laga

Naqaab rukhse hatai sheh ne
akbar ke
Tadapke qalb zulaikha tawaf karne laga

Azaye sheh mai jo nikla mere badan se lahu
Machal ke khaake shifa ka tawaf karne laga

Taqailut mai jakar ali ke roze par
Aqueel tera qasida tawaf karne laga