Zindabad Ya Hussain

- Minhal Ali Rizvi (2023)


Sena pe sir h chala
Shahe madina ka
Hai aankh me aansu
Labo pe hamde khuda
Wo kaise dekhe bhala
Aseer h kunba,
Hai jari ahle haram k labo pe ek hi sada,
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain

1-Sare Husain se kahti hain saniye zahra
Aye mere bhai ye tujhse bahen ka h wada,
Her aik ghar me bicchegi teri ye farshe aza,
Krungi qasre yazeedi me tera gham mai bapa,
Aye mere bhai Husain
Dile batool k chain
Ali k noorul ain
Aye deen k zebo zain
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain

2-ye bole sayyade sajjad roke aye baba
Aye baba apka paigham mit na payega
Naqab Zulm k rukh se mai yu ulat dunga,
Na bhul payegi qurbani apki duniya
Aye mere zakhmi pedar,
Aye Shahe jinno bashar
Aye deen k rahbar
Aye deeen k yawar
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain

3-sare Husain se kulsoom roke chillayi
Nisar teri ghareebi pe ho ye dukhpayi
Ahed ye krti h tujhse teri ye manjayi
Na mitne dungi tera naam daher se bhai
Aye mere tashanadahan
Aye mere zakhmi badan
Aye be dayaro watan
Feda ho tujhpe bahen
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain

4-sare Husain se bano k lab hue goya,
Aye mere waliyo waris na yu kro girya,
Jo lut rha hai to lut jaye ye bhara kunba
Tumhara naam magar ta abad rhe zinda,
Aye Deene haq k imam
Bulando bala maqam
Aye Shahe khairul anaam
Sada rhe tera naam
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain

5-sakina ro k ye boli aye bekafan baba
Mere ghareeb pedar mere be watan baba
Pada h khak pe zakhmi tera badan baba
Abhi bhi gham me tere rota h ye ban baba

Rehayi qaid se pa ker watan jo jaungi
Her ek ghar me safe gham tera bichhaungi
Teri ghareebi ka qissa unhe sunaugi,
Tu kitna pyasa tha duniya ko ye bataungi,
Aye Shahe kono makan
Aye mere khushkzaban
Saware noke sena'n
Alio zahra ki jaa'n

6-suhail Mar k Jo duniya se qabr me jana,
Minhal qabr ki wahshat se khauf mat khana,
Wahan bhi majlise shabbeer tum bapa krna,
Bigho ke aankho ko ashke aza se, ye kahna
Aye Shahe sabro wafa,
Aye Shahe karbobala
Qateele joro jafa,
Shafeeye roze jaza
Zindabad ya Husain zindabad ya Husain