Karbobala Ke Jungle Me Chaand Arab Ka Aya He
- Hasan Abbas (2023)
Karbobala ke jangal mein chaand arab ka aaya hai
Chand sitaare dilwaale saath mein apne laaya hai
Sar pe amaama ehmad ka tegh kamar mein haider ki
Vaaris hai ye nabiyon ka maa zahra ka jaaya hai
Paanv talak sar se lekar noor e khuda ka jalwa hai
Tooba ki khud shaakhon ne sar pe banaya saaya hai
Kaali aandhi chaayi hai khoon ugalta hai sehra
Ale mohammad par ban mein zulm ka baadal chhaya hai
Phool se bachon ko le kar jaayein kahan maaein ban mein
Dhoop hai etni ban mein ke saaya bhi murjhaya hai
Bhaalon se talwaron se baagh e ali ko loot liya
Dard se dharti chillayi arsh e barin tharraya hai
Zillat waale jeevan se maut bhali izzat waali
Usne shahadat paa kar ye duniya ko samjaya hai
Khuld se kal jis tan ke liye eid pe aate the jode
Aaj lahoo se ummat ne us tan ko nehlaaya hai
Khuld se kal jis tan ke liye eid pe aate the jode
Aaj use khoon ka joda Ummat ne pehnaya hai
Karbobala ki dharti par main bhi qadam ek din rakhun
Har pal ye naacheez hasan lab pe dua ye laaya hai