Rauza nahi Hussain nazar aaye

- Syed Raza Abbas Zaidi (2023)


Aye Kash Ab Ki Bar Main Jab Jaon Karbala
Roza Nahi Hussain Nazar ayen Samnay

1) Ankhain Nahi Hon Phir Bhe Nazar Aye Rasta
Main De Raha Hon Apko Jabir Ka Wasta
Itna Buland Kejyay Mayyar Ishq Ka
Roza Nahi Hussain Nazar ayen

2) Jis Ko Hussain Mil Gaye Sab Mil Gaya Usay
Ab Aur Kia Main Mangonga Gumbad Ko Dekh Ke
Phyli Nazar Main Hoge Labon Per Yahe Dua

Roza Nahi Hussain Nazar ayen

3) Palkain Jhuka Ke Jab Rakhon Darbar Main Qadam
Hojaye Meri Ankhon Pe Abbas Ka Karam
Nazrain Main Jab Uthaon to Dekhon Yay Mojza

Roza Nahi Hussain Nazar ayen

4) Pori Ho Kesy Mola Ziyarat Ke Arzoo
Jab Tak Na apse Ho Mulaqat Ro ba Ro
Tab Jake Hoga Meri Ziyarat Ka Haq Ada

Roza Nahi Hussain Nazar ayen

5) Qabil Nahi Hoon apke Haan Manta Hoon main
Per ap to Kareem Hain Yay Janta Hoon Main
Hojaye Is Ghulam Ko Yay Marfat Atta

Roza Nahi Hussain Nazar ayen

6) Pohnchon Haram Main Jab Kaf e Abbas Dekh ker
Chahray ke Bal Gira Don main Khud Ko Zameen Per
Ghazi Ka Pursa Lejyay Jab Don Main Yay Sada

Roza Nahi Hussain Nazar ayen

7) Gham Ka Zaeef Chahray Pe Ehsas Dekh lon
Akbar Ke Qabar Dekh Ke Mola Se Jab Kahon
Kesy Uthaya Apne Lasha Jawan Ka