Badshah hussain

- Shahid Baltistani (2023)


Hussain.. Hussain.. Hussain..
Badshah e mann
Shehenshah e mann
Qibla e dilam, Kaba e dilam
Hussain.. Hussain

Hussain..

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Kaayenat mein, baat baat mein..(2)
teri baat, tera tazkera, hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

1. Tujhko dilwalo ka sultan kaha jaata hai
Ishq mein tere koi teer o tabar khata hai
koi laakho se bahattar mein chala aata hai
tujhse jab mila.. hurr samajh gaya
hai fanaa yazeed aur baqa, hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

2. Tu balandi hai, zabardast hai, aala tu hai
jisko abbas kahe maula, woh maula tu hai
arsh walo ko zamee'n baa'tne wala tu hai
kyu na farsh pe, aasma'n jhuke
malike zameen e karbala, Hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai


Tu hi hai toote dilo'n ka sahara hussain
hai ashiqo ki sadaa, tu hamara hussain

3. Jab se seeno mein basaya hai tera ghum maula
dil ki dhadkan bhi hume lagti hai matam maula
saal bhar rehta hai ankho'n mein moharram maula
hai nishane ghum, seeno pe raqam
bus hamare qalb par likha, hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

4. Chauda sadiyo se tere ghum ka safar jaari hai
ye azakhane, alam tujhse wafadari hai
aaj har ghar mein bapa teri azadari hai
har faqeer ki, hai sadaa yehi
zindabad aaj bhi mera, Hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

5. Maut ko maar ke jo karbobala tak pohcha
wo hussain ibn e ali teri raza tak pohcha
bus tere paas jo pohcha wo khuda tak pohcha
manzil e khuda, sirf karbala
isliye hamara raasta, hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain
Hussain Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Hussaina, Hussaina..(2)

Ya Sarallah.. hussain
Ya Sarallah hussain

Aye qateel e jafa..(2)
Aye ghareeb e zahra
shaheed e karbala hussain

6. Jab murtajiz sawaar wo rann mein utar gaya
dushman ki maut saath chali wo jidhar gaya
uttha jo uske saamne wo sar se sar gaya
aaya jo zulfiqar ki zadd mein, wo margaya
koi soorma, bach nahi saka
pyaas mein bhi is tarha ladaa, hussain hai

Hussaina, Hussaina..(2)

7. Jab irja'ee ki arsh se aayi sada hussain
palta tu ran se khaimo ki janib chala hussain
haye, maqtal mein tujhko gher ke maara gaya hussain
Zehra ne aake tham liya jab gira hussain
shimr ne rakhi, halq par churi
maa pukari mera laadla, hussain hai


Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

8. Haq ki manzil pe raha sab ke dilo par chhaya
jiska sar kaat ke bhi koi jhuka na paaya
wo usi shaan se zeeshan sina par aaya
hai yazeed ka, naam mit gaya
aaj har zabaa'n pe sirf, yaa hussain hai

Badshah hussain, Shehenshah hussain
Dee'n ka aasra hussain hai

Hussain.. Hussain
Badshah e mann
Shehenshah e mann
Qibla e dilam, Kaba e dilam
Hussain.. Hussain