Subhana Rabbi Al Aala
- Mir Hasan Mir (2023)
Ya hussain, Ya hussain..(2)
Ya ayyatu hal nafsil mutmainnah
irji'ee ilaa rabbika raziyatam marziyyah
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala..(10)
Khanjar tale hussain ye..(2)
dete rahe sadaa..
Subhana rabbiyal aala ..(3)
Subhana rabbiyal aala ..(3)
1. Asghar ko tere naam par qurban kar diya
gadhdi mein tere waaste, qasim utha liya
maine teri azaan par..(2)
akbar kiya fida
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
2. Jis dum hussain zeen se utre zameen par
zakhmo se choor choor the, sibt e nabi magar
pyaase labo pe jaari thi,
tasbeeh e kibriya
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
Subhana rabbiyal aala ..(3)
3. Kehta hai apne dil mein woh, parwardigar se
kya ye kabhi hamari sakina ke waaste
ab seene par sawaar hai..(2)
qatil agar to kya
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
4. Baazu tadap rahe the, kisi ke labe faraat
haste hue jo khooli ne, mujhpar uthaya haath
lekin labe hussain par
jaari rahi sadaa
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
Subhana rabbiyal aala ..(3)
5. Pyaasa ho zibha dasht mein aur dekhein bibiya'n
manzoor ye tujhe hai agar rabbe do jahaa'n
raazi teri reza pe hai
zahra ka laadla
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
6. Dete nahi ye paani jo zahra ke chayn ko
kya dukh hai tune bakhsha hai kausar hussain ko
sola peher ki pyaas ka
shikwa nahi zara
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
Subhana rabbiyal aala ..(3)
7. Tukde mere misaal e alif laam meem ho
lut jaye mera ghar, mere bacche yateem ho
har haal mein kahega..(2)
nawasa rasool ka
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
8. Nana bhi aaye hai mere, baba bhi aaye hai
madar ko meri bhai, hasan saath laye hai
sad shukr surkh roo mai..(2)
buzurgo se hogaya
Subhana rabbiyal aala
Subhana rabbiyal aala ..(3)
Subhana rabbiyal aala ..(3)
9. Sheh par chali jo zarb, takallum wo aakhri
kat ti hui rago'n ki, musalsal sadaa ye thi
maine jo tujhse waada
kiya tha nibha diya
Subhana rabbiyal aala..
Subhana rabbiyal aala..(2)