Sabeel e Imam hussain
- Mir Hasan Mir (2023)
Nehre rawa'n hai farze shahe mashraqain ki
pyaaso piyo sabeel hai nazre hussain ki
Naam e maula pe hai paani jo pilane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(4)
Haan yehi log hai firdaus mein jaane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
1. Sirf shabbir ka darr hai jo, ye phailaye hai haath..(2)
warna ye log kaha'n maang ke khane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
2. Teri raaho mein bichaenge, farishte aankhein..(2)
farsh mazloom ki majlis ka, bichane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
3. Farwa deti hai duaein sadaa aabad rahein..(2)
roke mehendi meri qasim ki, uthane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
4. Haath uthakar tujhe dete hai, dua hurr e jari
paon shabbir ke zaer ke dabane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
5. Do kate haath tujhe girne nahi denge kabhi..(2)
chote hazrat ka alam ghar pe, lagane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
6. Hai yaqee'n khuld mein wo jaenge sab se pehle..(2)
rassiya'n thame julooso ko, chalane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
7. Ek guzarish hai ke abbas ke laashe pe na jaa..(2)
chadar e zahra ko
chadar e zahra ko naize pe uthane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
8. Dar e zindaan pe baithi hai, sakina uth jaa..(2)
shahzadi tere baba nahi, aane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
9. Shah kehte the ke jao, ali akbar jao..(2)
hum nahi laasha e abbas se, jaane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
10. Akhri waqt bhi aayi nahi, saaye mein rabab
ayse dekhe na kahi'n, waada nibhane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
11. Banne kab dete the zindaan se bahar turbat..(2)
neel chehre pe sakina ke, banane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)
12. Kya ijazat hai takallum bhi, tere saath chale..(2)
qabr e zahra pe
qabr e zahra pe diya jaake, jalane wale
naam e maula pe hai paani jo pilane wale..(2)