Shabbir Nahi Bhuley

- Nadeem Sarwar (1998)


Majlis E Shabbir Mein Ati Hai Maan Shabbir Ki
Kehti Hai Kya Ay Momino Tum Sy Yeh Maan Roti Hui
Zakhmi Hai Mera Ladla Marham Mujhy Dy Do Koi
Marham To Hai Ashk E Aza Roomal Mein Ly Jaun Gi

In Ansoon Ny Bhar Diye Sab Zakhm To Dilgeer Ky
Do Ghao Aisy Hain Magar Bharty Nahi Shabbir Ky

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka
Matam Karo Ghar Lut Gaya Shabbir Ka
Maan Aa Gai Shabbir Ki Matam Karo Shabbir Ka
Khanjar Taly Naizey Py Bhi Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Teeron Py Tha Lasha Tera Roti Rahi Karbobala
Khaimy Ka Jab Parda Utha Boli Behan Bhaiya Mera
Lasha Tarhap Kar Reh Gaya Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Sughra Udhar Roti Rahi Maula Idhar Roty Rahy
Wahan Muntazir Beemar Thi Yahan Qatl Sab Hoty Rahy
Sehra Mein Ghar Lut’ta Raha Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Lipti Sume Asbat Thi Woh Ladli Beti Teri
Maloom Tha Maula Tujhy Ab Na Mily Gi Yeh Kabhi
Phir Bhi Sooye Maqtal Gaye Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Mara Gya Ghazi Tera Phir Bhi Kaha Shukr E Khuda
Qasim Gya Asghar Gya Phir Bhi Kaha Shukr E Khuda
Har Lash Par Aty Rahy Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Darbar Mein Bazar Mein Zindan Mein Har Aan Mein
Kaisy Sitam Sehti Rahi Beti Teri Behna Teri
Dekha Kiye Naizey Sy Sab Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Naizey Py Bhi Sar Hai Tera Phir Bhi Teri Kya Shan Hai
Yeh Sar Hai Ay Maula Tera Ya Bolta Quran Hai
Tan Sy Juda Sar Ho Gya Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka

Rehan Aur Sarwar Karo Majlis Bapa Shabbir Ki
Akbar Ka Gham Zainab Ka Gham Mairaj Hai Tehreer Ki
Maula Aza Ky Farsh Par Karty Rahy Shukr E Khuda

Na Bhuley Na Bhooly Shabbir Nahi Bhuley

Ek Chadar Zainab Ki Ek Seena Akbar Ka